maiñ is umiid pe Duubā ki tū bachā legā,
ab is ke baad merā imtihān kyā legā
ye
ek mela hai vaada kisī se kyā legā,
Dhalegā din to har ik apnā rāsta legā
maiñ bujh gayā to hamesha ko bujh hī jāūñgā,
koī charāġh nahīñ huuñ ki phir jalā legā
hazār toḌ ke aa jāūñ us se rishta 'vasīm',
maiñ jāntā huuñ vo jab chāhegā bulā lega
Source: Waseem Barelvi, Rekhta